5/29/2019

Free Download Hindi Pdf Books

Robert Kiyosaki Apni sabse jyada bikne wali kitab ke karan jaane jaate hai inhone uske series ke rup me kai kitabe likhi hai aaj mai sabhi ko yaha shart list karne wala hu jinhe aap padhkar apne life me hone wali financial problem se nijat pa sakte hai.

Dosto bahut se log apne life me paiso ki samsya se jujhte rahte hai aur aapko jankar hairani hogi ki jo log moti salary pate hai unke life me bhi paise ki hamesa killat bani rahti hai aur yah kaise hota hai aur iss problem ka solution kya hai in sabhi kitabo me Detail me bataya gaya hai.

1- Rich Dad Poor Dad

Yah kitab one of the best selling book hai iss series ki aur sabse jyada bikne wali bhi isame kisi ki life change karne ki power hai jo ki mere sath khud vaha aur issi kitab ne mujhe books padhne ke prati atract kiya iss kitab me robert kiyosaki ne yah bataya hai ki kis tarah unke dost ke pita jinhe vah apne dusre pita mante the unhone amiri ka asli rahasy bataya jise robert ne kitabo ke rup me duniya ke saamne laya.

Detail me Padhne ke liye yaha click kare – Rich Dad Poor Dad in Hindi

2- Cashflow Quadrant

Iski dusri kitab hai cashflow Quadrant jisme 4 tarah ke quadrant ke baare me bataya gaya hai har koi inme se kisi ek me to jarur kaam kar raha hota hai aur amir hone ke liye kaun sa quadrant sahi hai iss baare me bataya gaya hai yah kitab bhi best selling me samil ho gayi hai aap iss kitab ko padhkar cashflow ko achhe se samjh sakte hai.

Detail Me Padhne Ke liye Yaha Click Kare – Cashflow Quadrant in Hindi

3- Guide to Investing

Agar Aap upar ki do kitabo ke baare me detail me jaan jayenge to aapko investment ki mahatta ka pata chal jayega aur fir aap yah kitab guide to invest padhkar investment ke prati apne gyan ko badha sakte hai vaise isame Author ne apne life me aane wale utar chadav ko jo ki unhe ek safal investor banane me aayi un sab ke baare me detail me bataya hai.

Detail me Padhne Ke liye Yah Click Kare – Guide to Investing

4- Business School

Business School Kitab ko likhne ka idea Author ko mile ek patra se aaya tha kyoki usame puchha gaya tha ki mere paas paise to nahi hai fir mai business kaise kar sakta hu. to uski ke javab me inhone yah kitab likhne ki sochi ki yah kai logo ka sawal ho sakta hai aur uss patra ko unhone uss book ke starting me hi diya hai.

Detail me Padhne Ke liye Yaha Click Kare – Business School

5- Rich Retire Young Retire

Iss kitab me Author ne jaldi retire ho jaane ke baare me bataya hai ki aap apne life me jald retire kaise ho sakte hai aur paise kamane ke jhanjhat se chhutkara pa sakte hai matlab author ka manana hai ki log budhe ho jaane par hi retire hote hai lekin life ka asli maja to tab hai jab javani me hi retire ho jaye aur fir ais kare.

Detail me Padhne Ke liye Yaha Click Kare – Rich Retire Young Retire

To yah Collection Aapko kaisa laga inki kitab ke baare me aapka kya vichar hai hame commnet me bata sakte hai aur ise apne dosto ke sath share karna na bhule apne family ke logo se bhi share kare isase unhe ek madad milegi.

Chetan Bhagat All Books

Chetan Bhagat ek aise writer hai jinhone kai hit kitabe novel ke rup me di hai aaj mai niche unn sabhi kitabo ke baare me Short information dunga aur detail me padhne ke iye uske niche link dunga to ham baat kar rahe hai chetan bhagat ki kitabo ke baare me inki kai kitabo par filme ban chuki hai.

Jaise 3 Idiot , Half Girlfriend , 2 States ye filme hit bhi huyi hai aur 3 Idiot ki baat kare to ye super hit huyi hai to inki sabhi kitabo ko mi niche short list karne ja raha hu to chaliye suru karte hai.

Chetan Bhagat All Books

The Girl in Room 105 Book

Yah Kitab 2018 me publish huyi hai aur yah kitab hit bhi huyi logo dwara kafi pasand ki ja rahi hai isame ek kashmiri ladki par unhone puri story likhi hai jo ki apne padhayi ke daran hostal me room no. 105 me rahti hai isi par book ka title bhi diya hai .

Kul milakar baat yah hai ki yah kitaab bhi love story par hai jaisa ki vo jyadatar iss par likhte hai to aap detail me agar janana chahte hai to mai yah link de raha hu isasae aap jaan sakte hai aur iske baare me detail me padh sakte hai.

One Indian Girl

Yah kitab chetan bhagat ki sabse hit kitab rahi hai iski ab tak lakho pratiya bik chuki hai aur yah ek bhartiya ladki ke life story par hai jo ki foreign me job karne ke liye jaati hai aur vahi par uski love story suru hoti hai fir usme kai tarah ke lafde khade hote hai aur yahi sab usme uski saadi hone tak ki baato ko darsaya gaya hai. Aur detail me janane ke liye mai niche link de deraha hu.

One Night At the Call Center

One night @ call center book call center me kam karne wale logo par likhi gayi hai ki unki life kaisi hoti hai aur isame sabse khas baat yah hai ki yah topic unhone apne kitab padhne wale mahila pathak se liya tha jo unhe safar ke dauran train me mili thi to agar aap iss ke baare me detail me padhna chahte hai.

Half Girlfriend

Half Girl Friend delhi ke ek college me do student ki kahani hoti hai jisme ladki delhi se hoti hai aur ladka bihar se hota hai ladka usase pyar karne lagta hai lekin ladki sirf dost hi bane rahana chahti hai to aap detail me iss kitab ko padhna chahte hai to niche mai link de de raha hu aur iss kitab par half girlfriend naam se hi movie bhi ban chuki hai aap use bhi dekh sakte hai.

Five Point Someone

Yah kitab kuchh dosto ke upar likhi gayi hai ki kaise musibat padne par wo ek dusre ke kaam aate hai ya fir bhag lete hai ya kaun kis tarah ki soch rakhta hai kul milakar iss kitab me dosti ka aayina dikhaya gaya hai to aap agar iss kitab ke baare me detail me padhna chahte hai to mai niche link de raha hu.

2 States

Yah Kitab bhi vahi love story par hi hai isme ek panjabi ladka hota hai aur ek madrasi ladki hoti hai unki love story start ho jaati hai gujraat ke ahamdabad ke ek college me padhne ke dauran aur fir unke ghar wale raaji nahi hote lekin ye dono prayas me lage hote hai aur ant me inki saadi hi hi jaati hai isi baare me kahani hai. detail me padhne ke liye mai niche link de de raha hu.

To Dosto aapko yah collection kaisa laga hame niche comment karke bata sakte hai aur ise apne dosto ke sath social site par share karna na bhule.